Ae watan mere
Ae watan mere
Tu hi meri jaan hai
Teri shan ki kya bat karu
Tu hi mera man hai
Tu hi mera man hai
Na kisi ka teri mitti mai janma
Na kisi ka teri mitti mai janma
Bas iska abhiman hai
Na kitno ne baha di
Tere liye khun ki dhar
Jan kya kahu
Ye jeevan bhi tujhpe kurban hai
Ye jeevan bhi tujhpe kurban hai
Ae dushman mere
Sun le tu bhi jara
Kuch bhi kia tune kam aisa
To jang ka ailan hai
TO jang ka ailan hai
Yaha to bas sabke dilo mai basta hindustan hai
bas basta hindustan hai
Duniya ke sir ke taz par
jade hai heere moti
par mere desh ke sir ke taz par
khud saza asman hai
Raksha karti hai
meri himalaya parvat ki chhoti
Raksha karti hai meri
himalaya parvat ki chhoti
Dushman ki napak harkat ko bhi kar deti hai choti
Hathiyana chahta hai koi
kashmir pyara hamara
Par uska har ek pryas vifal hai ja rha
Dushman hamara vahi rah gaya
Dakshin chand ki or pahuch gaya desh hamara
Mere Desh mai bahti hai pawan nadi ganga
Mere Desh mai bahti hai pawan nadi ganga
Kai veer saput sahid huye
desh ke liye
Farz pura karke gaye apne desh ke liye
Na khud kabhi Jhuke
Na jhukne kabhi dia tiranga
Na khud kabhi jhuke
Na jhukne kabhi dia tiranga
Duniya to us Suraj
ki roshni se chamakti hai
Duniya to us Suraj
ki roshni se chamakti hai
Par mera desh khud ek tara
Mujhkon apna desh hai sabse pyara
- हमें विश्वास है कि हमारे पाठक स्वरचित रचनाएं ही इस कॉलम के तहत प्रकाशित होने के लिए भेजते हैं। हमारे इस सम्मानित पाठक का भी दावा है कि यह रचना स्वरचित है।
आपकी रचनात्मकता को अमर उजाला काव्य देगा नया मुक़ाम, रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें