Bachpan ka ek jamana tha,
Jab har ek pal suhana tha,
Subah hote hi tahelne jana tha,
Aur sundar foolon sang,
Bheeni khushbuo ko ghar lana tha,
Aate hi school jana aur sham hote hi bas masti k rango me rang jana tha,
Wo bat-minton,kho-kho,surra aur baraf-pani,
Wo pakdam-pakdayi,chupa-chupail,
Aur ha wo cricket aur kabaddi,
In khelon ka to dil deewana tha,
Na koi fikar na hi koi gam,
Bas khushiyon k wo rang,
Aur yaaro sang un rango me
Rang hi jana tha,
Wo Bachpan ka ek jamana tha,
Jab har ek pal suhana tha..
From-lucknow
- हमें विश्वास है कि हमारे पाठक स्वरचित रचनाएं ही इस कॉलम के तहत प्रकाशित होने के लिए भेजते हैं। हमारे इस सम्मानित पाठक का भी दावा है कि यह रचना स्वरचित है।
आपकी रचनात्मकता को अमर उजाला काव्य देगा नया मुक़ाम, रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें।