आप अपनी कविता सिर्फ अमर उजाला एप के माध्यम से ही भेज सकते हैं

बेहतर अनुभव के लिए एप का उपयोग करें

विज्ञापन

स्व-संशुद्धि

                
                                                         
                            Apne peeche...
                                                                 
                            

Kisi ki maun virodh se, vichaleet jo naa huye tum,
Kisi ki sookhi aankhon se, ashkon ki dhara jo naa dikhi tumhe,
Kisi ke ankahe marmatva ki sookhti daliyan jo, dravit naa kar payi tumhe...

Apne Saamne...

Kisi ki aatmiyata ki gunjan ka, soonapan jo naa khala tumhe,
Kisi ke tez badhte kadmon me pari, zanzeerein jo naa chubhi tumhe,
Kisi ke peshewar samwaad se jo, kuchh bhi naa seekh pane ka aarop laga tumpar...

To matlab saaf hai..

Apne ahankaar ke rakshas ko paalne me, ruchi kaafi badh gayi hai tumhari,
Tumhare andar begairati ki jarein, gehri ho chali hai kaafi hi ab,
Dosti ke bahaane zeher bechne ko, gorakhdhandha bana liya hai tumne apna,
Spashttah samvedanheen ho gaye ho tum...!!!

Tumhe apni iss nihayati kamzor akad ko, chhod deni chahiye abhi hi,
Peeche palat ke, 2 kadam zaruur chalna chahiye tumhein ab...!!

Abhinay ka dhong band kar do tum abhi hi..
Itne kruur to tum waise bhi nahi ho...
Paseene ke boond-boond ki ahemiyat ki kadra ki hai tumne abtak..
Aur ab baat to aansoun ki aa chali haii..

To ab sabse achha to yahi hoga ki....

Apne vineet hriday me sheelta ke kuchh beez daalo tum,
Udhaari pe hi sahi, par aaj hi..
Apne aham se duur jaakar, Purre man se seencho unke konplon ko tum..

Praischeet ka imaandaar prayas to kar hi sakte ho tum..
Tum apne swaabhimaan ko bacha bhi le sakte ho khud hi...
Kisi aur se naa to, khud se keh ke hi,
Ekbbar khud ko dapat sakte ho zor se tum...
Tumse peereet aankhon me, apni nivedit nazron se dekhkar,
Ekbaar SORRY to bol hi sakte ho tum..


हमें विश्वास है कि हमारे पाठक स्वरचित रचनाएं ही इस कॉलम के तहत प्रकाशित होने के लिए भेजते हैं। हमारे इस सम्मानित पाठक का भी दावा है कि यह रचना स्वरचित है। 

आपकी रचनात्मकता को अमर उजाला काव्य देगा नया मुक़ाम, रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें।
7 वर्ष पहले

कमेंट

कमेंट X

😊अति सुंदर 😎बहुत खूब 👌अति उत्तम भाव 👍बहुत बढ़िया.. 🤩लाजवाब 🤩बेहतरीन 🙌क्या खूब कहा 😔बहुत मार्मिक 😀वाह! वाह! क्या बात है! 🤗शानदार 👌गजब 🙏छा गये आप 👏तालियां ✌शाबाश 😍जबरदस्त
विज्ञापन
X
बेहतर अनुभव के लिए
4.3
ब्राउज़र में ही

अब मिलेगी लेटेस्ट, ट्रेंडिंग और ब्रेकिंग न्यूज
आपके व्हाट्सएप पर