Dil ki wo khidki,
Aur hawa ki aahat,
Yaadon ki wo khushboo,
Ek aas ki hai Chahat,
Maa ka aanchal,
Aur khushiyon ki khikhilahat,
Maa ke sath roj wo meethi-meethi nok-jhok,
Door gar jaaye maa to dil ki us khidki se jhankti yaadon ki sansanahat,
Aa jaao na maa,
Ab ho milne ki tumse chahat,
Yaad aaye wo meethi nok-jhok,
Aur bas yaado ki chatpatahat,
Ab aa jaao na maa ghar wapas,
Dil ki wo khidki aur hawa ki aahat,
Dheere se kaano me keh jaaye,
Maa tumse milne ki hai chahat
- हमें विश्वास है कि हमारे पाठक स्वरचित रचनाएं ही इस कॉलम के तहत प्रकाशित होने के लिए भेजते हैं। हमारे इस सम्मानित पाठक का भी दावा है कि यह रचना स्वरचित है।
आपकी रचनात्मकता को अमर उजाला काव्य देगा नया मुक़ाम, रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें।
कमेंट
कमेंट X