kuch manav danav bankar
es dharti par ate hai
chote chote balak ko vo
grash banate hai
nahi dharm unke jiwan mai
daya nahi hai unke man mai
khunkhar janwar sa prani
chehra manav ka pate hai
dekho grash banate hai..
nanhi si vo hasi
ki jisase jag khush hota hai
nanhi uski dagar chale
to jag ye chalta hai
hasi pe jiske
tino lok nichawar hote hai
un balak ko
ye danav kyo grash banate hai
ayi hogi nahi kya uske man mai
daya bhav pal bhar bhi
tarap na nikali hogi uske
hriday ke kisi kone mai bhi
kaise usne mara hoga
kya manusyata royi na hogi
usake asu usake tarap se
kya dharti doli na hogi
yese papi ko es jag mai
late kyo ho parmeswar tum
tere es sansar mai
yese danav sthan kyo pate hai
yo kyo es jag maiate hai....
- priyank upadhyay
हमें विश्वास है कि हमारे पाठक स्वरचित रचनाएं ही इस कॉलम के तहत प्रकाशित होने के लिए भेजते हैं। हमारे इस सम्मानित पाठक का भी दावा है कि यह रचना स्वरचित है।
आपकी रचनात्मकता को अमर उजाला काव्य देगा नया मुक़ाम, रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें।