Desh bhakti geet
Mera desh hai sone ki chidiya
Nazuk bhi hai, balwan bhi hai...
Mere desh ka naam amar bhi hai mere desh ka naam jawaan bhi hai...
Mere desh ki nadiya hain paawan
Sagar bhi hai toofan bhi hai,
Yahan amar hue lakho veero ki badhti har dum shan bhi hai
Mere desh ka naam amar bhi hai mere desh ka naam jawaan bhi hai...
Mitti bhi mehekti mehendi bhi choodi bhi khanakti payal bhi radha bhi chehekti meera bhi shri krishna ka Abhimaan bhi hai
Mere desh ka naam amar bhi hai mere desh ka naam jawaan bhi hai
Yahan tyoharo ki reet bhi hai
Bharat bhi Hindustan bhi hai
Yahan deep jale dware dware ramzan ka dikhta chand bhi hai
Mere desh ka naam amar bhi hai mere desh ka naam javaan bhi hai
Mera desh hai sone ki chidiya nazuk bhi hai balwan bhi hai
Punjab ka seena chhoda hai delhi ki alag pehchan yahan
Bambai mein chamakte hain taare
Gujrat ki oonchi shan bhi hai
Har dharam ko gale lagate hain
hum sab milkar muskaate hain
Har disha tirange wali hai
Kashmir bhi Rajasthan bhi hai
Mere desh ka naam amar bhi hai mere desh ka naam jawaan bhi
Mera desh hai sone ki chidiya nazuk bhi hai balwan bhi hai..
Mera desh hai sone ki chidiya nazuk bhi hai balwan bhi
Nazuk bhi hai balwan bhi hai
🙏🏻 Jai Bharat 🙏🏻
Written by
Hina r khan
हम उम्मीद करते हैं कि यह पाठक की स्वरचित रचना है। अपनी रचना भेजने के लिए यहां क्लिक करें।